Homemade Soap For Oily Skin Oily Skin Ke Liye Konsa Sabun Use Karna
Chahiye
Add caption |
Oily Skin Ke Liye Konsa Sabun Acha Hai?
Chikni jild to qudrat ka anmol tohfa hoti hai chikni jild wali khawateen agar apni jild ki hifazat tarike se karen to hamesha jawan nazar ayengi. Aisi jild ki hamil khawateen k chehre amuman jhuriyon se pak hote hain yehi wajah hai k chikni jild khushk jild ki nisbat zyada jawan aur pur kashish nazar aati hai.
Jahan chikni jild k beshumar fawaid hain wahin agar aap ne apni jild ka khayal na rakha to aap ko beshumar skin problems bhi ho sakti hain. In masail se bachne ke liye main aap ko ghar par tayar kiya hua sabun banane ka tarika bata raha hun.
Oily Skin K Liye Homemade Soap Banane Ka Tarika
Soap tayar karne ke liye aam beauty soap kadukash kiya hua 1 khane ka chamach, arq e gulab 1/2 cup, gulab ki pattiyan 1/4 cup, shehad 1 chaye ka chamach aur malty k chilky pissay hue 1 chaye ka chamach le kar in ajza ko degchi mein daal kar halki aanch par itna pakain k soap hal ho jaye hal ho jane par chulhe se utar kar rakh dain aur aik din baad soap jam jaye to isay istemal karen behtareen results k liye sabun chehre par laga kar 2 minute tak chehre ka massage karen bohat jald apka chehra chamak uthe ga. Agar aap ko meri ye post pasand ayi hai to please isay Facebook aur WhatsApp par apne friends k sath lazmi share karen.
Ap ki tips kamal ki hoti h jis ke lye thanks
ReplyDeletethank you and welcome :)
Delete