Nail Care Tips And Tricks Urdu Homemade
Beauty Tips For Nails In Urdu
Nakhun Katne Ka Sahi Tarika Beauty Tips |
Nails Cleaning Tips In Urdu Nail Care Tips In
Urdu Nail Whitening Tips Urdu
Nail Cutting Tips Nail Care |
Nakhun Ki Tarash Kharash Khoobsurati Ki Zamin
Nakhun qudrat ka wo khubsurat attiya hain ki badolat shakhsi tameer mumkin hai balke iss ki madad se hathon ko bhi munfrid khobsorat tasur dena aasan hota hai. Iss maqsad ke liye agar chand awamil ki janib tawaja di jaye to na sirf nakhun khoobsurat honge balke hathon ki kashish mein bhi izafa kiya ja sakta hai. Iss hawalay se eham baat ye hai ke nakhuno ko ek dam jar say ya jis jagah se gosht se jude hote hain wahan say nahin katna chahiye. Iski bajaye nakhun ke izafi hissay ki mamoli miqdar ko gosht se juda chor dain yani mukamal jar se nakhun katne ki bajaye thoda sa hissa jis tarah picture mein dikhaya gaya hai bilkul waisay he cut karen. Nakhun ke iss izafi hissay ki janib khasosi dhyan dena chahiye taa ke ye badnuma maloom na hoon. Apne nakhun ko katne ke baad inhen cutter ke sath lage hue dandano ki madad se ghisen aur ragrain taa ke nakhun ke totne ki khatrat ko kam kiya jaye.
Nakhun ko totne se bachane ka asan tarika inhen katne se 5 minute pehle sabun mile neem garam pani mein bhigona chahiye. Iss nakhun na sirf naram ho jate hain balke inki safai aur nakhun ke andar jami aur phasi hui mail bhi asani se bhair nikal jati hai. Is maqsad ke liye lotion bhi istemal kiya ja sakta hai lekin is se lagate hue iss bat ka khas khyal rakhna zarori hai ke iss lotion ki teh sookh jaye to phir dusri teh lagayen.
Nakhon kat'te hue is bat ka bhi dhyan rakhen ke nakhun hamesha darmiyan se katna shuru kiye jayen kyon ki darmiyani hissy ke muqablay mein kinaro ke nakhun na sirf kamzor hote hain balke kinaro ki janib se nakhun katne ki soorat mein inke jald totne ka khatra bhi hota hai. Kamzor nakhun ko mazboot banane ke liye lotion ka bhi istemal kiya jata hai lekin iss lotion ko istemal karne ke liye zarori hai ke iss lotion ko bhi kinaro ki janib say lagane ka aghaz nahin karna chahiye.
Post a Comment