Hair Care Tips For Womens At Home Hair Ki Hifazat Hair Care Tips In Urdu Facebook

Hair Care Beauty Balo Ki Dekhbhal Ke Tips

Hair Care Tips In Urdu For Girl

Hair Care Trends 2017 Beautiful Hair Care Tips In Hindi



Baalon Ki Dilkashi Badhayen




Baalon ki hifazat ke liye sune sunaye nuskhon ko aksar khawateen badi ahmiyat deti hain lekin wo ye nahin samjhti ke lazmi nahin ke kisi dusry ka azmaya hua nuskha inke balon ko bhi suit kare ga ya nahin? aik andazy ke mutabiq baalon ke liye istemal ki jane wali tarkeebein nuqsan ka bais banti hain. In mein sar e fehrist to tail ke hawale se paye jane wale shakook o shubhat hain. Tail lagane ke liye zaroori nahin ke sir ko hamesha chapra rakha jaye balke hafte mein 2 ya 3 bar tail ka istemal kafi hota hai.




Aik ghalat fehmi ye bhi hai ke tail ko baalon par kam az kam 12 ghante tak lagaye rakhna zarori hai actually iss amal se takiya ganda karne ke elawa koi nateeja nahin nikalta tail 2 ghante mein bhi baalon par wahi asar karta hai jo 12 ghanto mein ho sakta hai. Baalon ki hifazat ke liye zarori hai ke hafte mein inhein 3 ya 4 baar kisi achay shampoo se dhoya jaye. Conditioner ke bare mein aksar logon ki raye manfi hoti hai jab ke baalon ko nayi zindagi deta hai.

Post a Comment

 
Top