Clay Mask For Oily Skin Diy Oily Skin Ke Liye Kya Karna Chahiye Oily Skin Ke Liye Tips In Hindi



Oily Skin Care Tips In Summer In Urdu
How To Prepare Multani Mitti Face Pack For Oily Skin?

Oily Skin Care Home Remedies In Summer Multani Mitti Mask For Oily Skin In Urdu Chikni Jild Ki Hifazat In Urdu Chikni Jild Ke Liye Mask


Chikni jild ki hamari khawateen mosam e garma mein jild ke kafi masail ka shikar ho jati hain aur iski wajah chikni jild ki hasasiyat hai jis mein mausam e garma ke doran khasosi izafa ho jata hai. Iss mausam mein agar iss kisam ki jild ki safai ki janib khasosi tawaja na di jaye to keel mahason ka masla bhi peda ho jata hai lekin jild ko keel muhase se mehfooz karne ke liye multani matti ka mask bohat mufeed sabit hota hai. Iss hawaley say kisi bhi mask ko istemal karte hue khas khyal rakhna chahiye ke mask ko jild par khushk hone tak lazman taur par jild par rehne diya jaye.
Is maqsad ke liye munasib yehi hai ke aap mask lagane ke liye kisi aisay waqt intekhab karen ke jab aap mukamal farigh hoon aur tawajah se sath mask ko laga saken. Mask lagane ke baad kisi sanjeeda aur aur talakh mazu ke baray mein sochne se bhi guraiz karna chahiye kyunki chehra soch ki na sirf akasi karta hai balke baaz auqat hum shauri taur par dusron say apne jazbat chupane ke liye ki koshish mein bhi mehz isliye nakami se do char hote hain kyon ki chehra la shauri par insani jazbaat ki akasi karta hai.
Lehaza mask lagane ke baad kisi bhi halke phulke mazu ke bare mein sochna chahiye iske elawa mosam e garma mein chikni jild ki hifazat ke liye kharboozay ka mask bhi nehayat mufeed sabit hota hai. Iss maqsad ke liye kharboozay ke khushk chilkay mein thodi si haldi aur moong ki daal ka psate bana lein. Ab isay chehray par adhe ghante ke liye  chodne ke baad mun ko dho lain. Mosam e garma mein oily skin ke liye azmuda totkay hain lekin is mask ko lagane ke baad heat ke qareeb nahi jana chahiye kyunki isse aap ki jild mutasir hoti hai.

Post a Comment

 
Top