How To Get Rid Of Heat Pimple On Face Garmi Dano Ki Tips Urdu Prickly Heat Powder Benefits Garmi Dano K Liye Totkay


Garmi Ke Dano Ka Ilaj Heat Pimple Home Remedy

Heat Pimples Solution Treatment Of Garmi Danay Garmi Danay Tips In Urdu

Heat Skin Rash Home Remedies In Urdu

Heat Pimples Home Remedy Garmi Dano Ka Gharelu Ilaj Garmi Danay Khatam Karne Ka Tarika In Urdu


Mosam e garma mein jild ke jumla masail nihayat shiddat se ubhar kar samne aate hain. Iss maslay ka khasoosi shikar khawateen hoti hai kyon ki sakht garmi mein aur habas ke mausam mein ye danay ye danay aap ki jild par ubhar ate hain. Surkh rang ke ye nanhy nanhy dane na sirf dekhne mein badnuma maloom hote hain balke ye bais e takleef bhi hote hain. Ye garmi danay khatarnak to nahi hote lekin kafi girls inki wajah se be had pareshan ho jati hain.
Garmi dano mein har dana khushk hone ke baad apni makhsoos muddat mein khatam ho jata hai aur na iska koi nishaan aur dagh baqi rehta hai lekin baaz khawateen apni skin ko lekar bahut sensitive hoti hain aur in dano ke nikalne par bhi pareshani ka shikar ho jati hain aur garmi dano ko khatam karne ke liye creams aur totke istemal karna shuru kar deti hain jiske natije mein in dano ka khatma to nahin hota lekin aap ki jild mazeed kharab ho jati hai.
Mahireen ki raye mein garmiyon mein jild ko garmi dano se bachane ka to koi tareeqa majood nahin lekin in dano ki shiddat aur kharish mein kami ke liye mukhtalif totkay istemal kiye ja sakte hain. Iss hawaley sey sab se pehle number par corn flour ko garmi dano par lagane se na sirf garmi dano ka khatam hota hai balke in dano mein hone wali jalan mein kafi kami aati hai. Garmi dano ko khatam karne ke liye bazar mein aam taur par milne wale prickly heat powder bhi istemal kiye ja sakte hain lekin ye mehnga bhi padta hai aur baaz khawateen ko iss ke istemal ke baad alergi bhi ho jati hai.
Iss maqsad ke liye aap agar chahen to borak powder aur sada talcum powder aik jesi miqdar mein mila kar is mein talcum powder ki miqdar se adhi miqdar mein corn flour aur koi bhi perfume ya apni pasand ka essence chand qatray milain aur hathon ki madad se achi tarah mix karke kisi bhi powder ke istemal shuda dabbay mein bhar lain aur istemal karein ye garmion mein paseene se jild par paida hone wali kharish aur garmi dano ke khatmay ke liye azmuda nuskha hai.

Post a Comment

 
Top