Face Wrinkle Treatment Home Remedies In Urdu Face Ki Jhuriyan
Ka Gharelu Ilaj In Hindi
Face Wrinkle Treatment Home Remedies In Urdu Face Ki Jhuriyan Ka Gharelu Ilaj In Hindi
Face Wrinkles Removal Tips
|
Wrinkle Free Face Tips In Hindi
|
Chehre Ki Jhaiya Ka Ilaj In Urdu Chehre Ki Jhuriyan Ka Ilaj In Hindi
Aurton ke skin ke masail bohat zyada hote hain jin mein kuch khawateen bohat khoobsurat hoti hain jo apni care bhi karti hain aur roz apne jism ki hifazat karti hain aur wo dikhne mein chand ka tukda lagti hain lekin aksar ladkiyan apni care nahi kartin wo sirf apne face ko manjhti rehti hain jin khawateen ki jild par jaldi jhuriyan padne lagti hain wo aur bhi zyada pareshani ka shikar hoti hain lekin matwazan ghiza kha kar chehre ki dilkashi aur khubsurti mein izafa kiya ja sakta hai khurak ko balanced rakh kar jhaiyon aur jhurion ke masle se bachao mumkin hai jese jese insan ki umar dhalti jati hai jild ke neeche charbi jazb hoti jati hai aur jitni charbi jama hoti jati hai itni hi skin dheeli par jati hai jis say aap ke face par jhuriyan nazar aana shuru ho jati hain.
Jhuriya Padne Ki Wajah Wrinkles Causes and Treatment In Urdu
Isi tarha kafi arsay tak bemar rehne ki wajah se bhi skin par wrinkles pad jate hain.
Kisi cheez ki bahut zyada fikar karna dil ko takleef dena aur sehat ki kharabi bhi aap ki jild par jhurion ka bais banti hai aur zyada temperature wale kamre jahan garmi zyada ho wahan par rehne ki waja se bhi wrinkles pad jati hain isliye apni skin ko in chezon sey bachane ki koshish karen aur balanced diet yani matwazan ghiza khayen iske elawa rozana ke mamulat mein kuch waqt apne husn ki hifazat ke liye bhi bacha kar rakhen to jild ke in masail se kafi had tak bacha ja sakta hai. Nami aur vitamins ki kami se bhi jhuriyan par jati hain isliye vitamins ko apni ghiza ka lazmi juz banayen taa kay jild se lachak aur pathon say tawanai khatam na hone paye jurion se mehfooz rehne ke liye jism aur chehre ki warzish aur zyada tar tazaa paani peete rehna bhi bohat zarori hai.
Post a Comment