Khushk Jild Ka Ilaj In Urdu Dry Skin Home Treatment In Hindi

Dry Skin Treatment Home Remedies
Dry Skin Care at Home


Jild qudrat ka ata karda anmol tohfa hai aur baal aap ki khoobsurti ka taaj hain. Inki hifazat o nigehdasht k liye herbal products ka istemal karen. Homemade soap aur herbal shampoos ke istemal k nataij bilashuba fori taur par bramad nahi hote lekin ye har kisam k ghair zarori kimiyai ajza se paak aur jild aur baalon ki khoobsurti ke lyie ideal zaror sabit hote hain.

Khushk jild ki hamil khawateen ke liye homemade soap banane ka tarika darj zail hai.

Homemade Soap for Dry Skin Khushk Jild K liye Ghar par Sabun Banaye

Soap for Dry Skin Khushk Jild Kay Liye Best Gharelu Sabun

Khushk Jild K Liye Behtareen Gharelu Soap


Koi aam sa beauty soap kadukash kar lain ye 1 khane ka chamach doodh 2/1 cup, shehad 1 khane ka chamach, lemon ka ras 1 khane ka chamach aur glycerin 1 khane ka chamach le kar in tamam ajza ko pateely mein daal kar chulhe par charha dain.

Halki aanch par itna pakayen kay kadukash kiya hua soap mix ho jaye. Hal hone k baad chulhe se utar kar soap k sanchy mein daal kar thanda karne ke liye rakh dain. Puri raat ke liye chor dain subah check karen gay to aap ka homemade dry skin soap tayar hoga. Is say subah, dopehar aur shaam mun dhoyen 1 hafty mein aap ki jild k sath sath rangat bhi nikhar jayegi.

Post a Comment

 
Top